Hindi ya Hinglish kisme kare blogging?

Hindi Ya Hinglish Kisme Kare Blogging?






Hello dosto, kya aap blogging start karna chahte ho or aap soch rahe ho ki konsi language me suru karu HINDI ya HINGLISH to guys is article ko pura padna me isme apke sare doubts clear kar duga ki blogging kisme karna behtar hai.

Bahut se logo ke man me confusion hota hai ki blogging kisme kare Hindi me ya Hinglish me is topic me bahut se logo ne khub sare article bhi likh diya hai but kuch logo ne Hindi ko acha kaha to kisi ne Hinglish ko, to aap kisi me bhi blogging karo dono hai hi Hindi hi bas likhne ki lipi alag alag hai. Or bahut se myth bhi isko leke to hum is video me yeh bhi discuss karege.

To jaisa ki aap logo ko pta hai ki hindi India ki official language hai or India me sabse jayda boli jane wali language hai, kuch log Hindi ko India ki Rashtra Bhasa kehte hai to me aapko bata do ki Hindi India ki rashtra bhasa nhi hai, asal me India ki koi bhi rashtra bhasa nhi hai, Hindi or English yaha ki official language hai. yeh kuch genral bate thi jo maine aapko bta diya to ab chalte hai apne main topic pe.

Hinglish Kya Hai?

To pehle jan lete hai ki Hinglish kya hoti hai. To guys basically Hinglish Hindi+English ke mil kar bana hai. Hinglish bhi Hindi bhasa hi hai bas iski lipi (likhne ka style) Roman me hai.

Hindi Bhasa ki lipi Devnagri hoti hai or Hinglish ki lipi Roman hoti hai.

Hinglish ka isimal jaydatar Social Media, Chatting karne ke liye jata hai.

Hindi Ya Hinglish Me Kosa Behtar?

Hindi or Hinglish me se konsi behar hai blogging karne ke liye. To me kahuga ki Hinglish jayda behtar hai. Me yeh nhi keh rha ki Hindi me blogging karna sahi nhi hai but mujhe personally or kuch reasons ki wajah se Hinglish jayda behtar lagti hai. Me niche kuch topic se aapko clear karuga ki Hinglish me hi kyu blogging kare or Hinglish kyu behtar hai.


Hinlish Me Blogging Kyu Kare?

To chaliye jante hai ki Hinglish me kyu kare blogging. Or Hinglish jayda behtar kaise hai. 


Reason:1:- Hindi me likhna mushkil hai.

Pehla reason yeh hai ki Hindi me typing karna English ke comparison me hard hai. Main Hindi ko chhod kar Hinglish me blogging isi hi wajah se karta hu.

Hindi me likhne ke sath sath kai bato ka bhi dhiyan rakhna padta hai jaisi matra or is wajah se article ko likhne me kafi time bhi lagta hai.

Yahi hindi me mukable Hinglish me likhna kafi asan bhi hai.

Reason:2:- Hinglish Audience jayda hai Hindi ke mukable.

Hinglish audience kaise jayda hai Hindi ke mukable to me apko ko batata hu. Hindi se milti julti language Urdu bhi hai bas uske likhne ke tarika alag hai urdu ko Arbic lipi me likha jata hai. Aur Urdu audience ko Hinglish bhi aram se smajh me ati hai. 
Jis se Hinglish me likhne me yeh fayda hai ki  aap kafi no. me Pakistan ki audience se traffic le sakte hai.

Apne india me bhi babut se aise state hai jinko Hindi bolni to ati hai but unhe Hindi likhni or padni nahi but woh Hinglish ko pad or likh lete hai.
 
Ek example deta hu me ek bar Kolkata ke pas ek chote se city me gaya tha waha par jaydatar log Bangali me bat karte the lekin bahut logo ko Hindi bhi bolni ati hai but maine unse bat ki to pata chala unhe Hindi padna ya likhni nhi ata hai but woh Hinglish likhna ya padna dono ata hai. Hinglish me blog likhne se aise logo se bhi aram se kafi traffic liya ja skta hai.

Agar aap Hindi me blog lilkhoge to aap sirf India ki audience se traffic le sakte ho.
But agar aap Hinglish me blog likhoge to India ke sath sath Pakistan or Bangladesh se bhi bahut jayda traffic le sakte ho.

Reason:3:- Hinglish jayda SEO friendly hai.

Hinglish jayda SEO friendly isliye hai kyuki jaydatar log Hinglish me search karte hai. Hindi me bahut kam search karte hai. Me yeh nhi keh raha hu ki aap Hindi blog ko SEO friendly nhi bana sakte ho bilkul bana sakte hai. Google hinglish search result ko bhi hindi blog ko dikhata hai but agar kisi or ne same keyword pr hinglish me blog bana rakha hai to hindi se jayda hinglish wala blog rank karega.

Ex:-

Hinglish Search :- Computer kya hai.
Hindi Search :- कंप्यूटर क्या है |


To aap khud hi bataye aap is dono me se kis tarah se search karage. Jaydatar log hinglish me hi search karage kyuki hindi me typ karna asan nhi hai.

Reason:4:- Kya Google Hinglish Ko Support Karta Hai?

To bahut se logo ke man yeh sawal hota hai ki "Kya Google Hinglish ko support karta hai".
Bahut se log yeh kehte hai ki Hinglish ko google support karta hai kyuki google ke support language me Hinglish ka nam nhi hai. To me aapko bata du ki google hinglish ko hindi ki tarah consider karta hai or woh hinglish ko bhi utna hi support karta hai jitna other language ko karta hai aapko ghabrane ki koi jarurat nhi hai.


To guys hope karta hu ki aapko is article se bahut kuch pta chala hoga or apke jo bhi doubts hoge clear ho gaye hoge Hindi or Hinglish ko leke. 
















Comments

Popular posts from this blog

It is safe to use modded android application?